Monday, May 3, 2010

Tamannaye to najane.....!!!!

tamannaye to najane dilne kitni ki hogi..
dukhdard bhi saha aur jakhme kitni siyi hongi..
khwahish to karne se firbhi chukta nahi hai..
hakikat ko janke bhi ye samajhata nahi hai..
kaisi uljhano me hai ye halat ka mara...
yuhin bhatakata rahega banke aawaara..
chahat thi bahot ki bane koi sahara..
sagar ka jaise hota hai kinara...
dilne jane kisko hai aaj pukara..
par thi to wo bass chahat hi...
asal me koi bhi nahi bana hamara..
dilne jane koshishe ki kitni rishta nibhane ki..
par unhone jarurat hi nahi samjhi dosti nibhane ki..
kaise aise logonse pada hai mera pala...
halak se to ab utarena ekbhi niwala..
hum to bass chalte hai sochke itna..
dilse hum hai sachhe to khuda bhi mera kuch bigad nahi payega..
jisko bhi hoga iska ahsaaas wo khud lautke wapas aayega...
dilme na ho khot koi.. na kuch bhi kaala..
tabhi to jamana samjhega tumhe sachha dilwala..
sabkuch hoke saaf bhi kyun manata nahi hai..
aisehi aapne aapko pahchanta nahi hai..

No comments: