Tu hai samne hamesha to mandir,masjid ya gurdware jake kya karu...
Tujhme rab dikhta hai yaara main kya karu...
Sajade sir jhukta yaara main kya karu...
yaad hai tumhe wo diwali ki raat..?
yaad hai tumhe wo anjane halat?
Mujhe hai sab yaad jab paya tha pahli bar tara saath.
najane kahise tum meri jindagi me aayi..
najane kab mere dil pe yun chhayi...
shararat bhi... najakat bhi thi..
labonpe kuch aisi hasi thi...
yaad hai wo lamha abhi bhi..
jisame meri jaan fasi thi..
sach kehti hai tu ki itne jaldi kaise koi dost banata hai..
lekin dil kaha kuch sochke chunata hai..
shayad hamara rishta bhi aasman me tay hua tha,
isi liye to Rab meri sari bane sunata hai...
Rab ne mere di hai aawaj..
dil ke taranome hai tera hi saaj..
aye dil e nadan tu bhi kholde ye raaj..
aakhir kyun apne dil ko band kiye ho..
kyun apne aap ko buland kiye ho..
dil sirf tujhe chahe ye dil ki hai khata..
kyun hai dil mera aisa, mainu ki pata!!!!!! [:P]
Ab to dil mera aisahi tadapata rahega..
Leke ab uska naam ye dhadakata rahega..
tu dar na ae jalim.. ye tujhe kuch na kahega..
bass dega subah shaam salami..dil ka jhanda sada tere shan me fadakata( leharata) rahega..
Tujhe diya hai maine meri jidagi sara chaino aaram..
meri duvaye aur goodluck kiya hai tere naam...
Jindagi mere sari maine tere liye hai vaari..
badale me chahiye yaara sari umar teri yaari..
Tere liye to kasam se khta hun de dunga jaan..
filhal to diya hai tujhe maine mera sara jahan...
Dilse diya hai meri jindagi ka pura sar....... ("Sar" actually means important thing of anything.. also can be like Jindagi ke sare Punya, blessings..)
aur puri jindagi deta rahunga isase bhi jyada pyar..
mile tu to jindgi Jannat hogi...
nahi bhi mile to bhi rahe tu khush hamesha ye mannat hogi..
pata hai mujhe tujhse bichadake jee to main bhi nahi paunga..
lekin teri khushi ki hi saans main sari jindagi lete rahunga..
shayad sochta tha pahle ki pyar jaisa jindagi me kuch nahi hota...
aise kaise kisike liye koi hasata ya rota...
fir jaana maine ki rooh kisise aisehi judati...
jidagi hai naam pyar ka...ye nahi hai samajhota!!!
Ek hi baat bolunga.. jindagi me meri har subah shaam roshan hogi..
tu rahe hamesha hasati yunhi to life meri bhi gul se gulshan hogi..
nahi mangata ab rab se main apne liye kuch bhi...
jo tamanna hai tujhe hi batata hun yaara ab kya karu..
jor dil pe kuch bhi nahi chalata yaar main kya karu...
samajhana na kabhi galat mujhe...aisa hi hun kya karu...
ek saath masti me bhi hun..senti bhi hun ..yaara main kya karu..
dil ki masti bhi ab tumse hai yaara main kya karu...
man ki basti bhi ab tumse hai yaara main kya karu..
chahata to pura gana bhi likhta...likh na pau kya karu..
fir bhi tujhme Rab dikhta hai yaara main kya karu.. :)