jindagi behad haseen ho gayi hai..
har geet suhana lagta hai..
sangeet bahana lagta hai..
dil to kush huye jata hai in un bahanose..
dil khudko samjha jata hai jani kaisi kahaniyonse..
khud me ulajhata hai..
khud hi sulajhata hai..
tera haseen saath hai..
aur fir jindagi me wah kya baat hai..
tere saath bitaye yadonke haseen lamhe..
kuch is taraha bun raha hun main,..
jab hogi dur tu mujhse kuch paloke liye ..
tab un sab yadonme tujhe sunta rahunga main..
tere saath wo ki thi masti..
tere bagair jindagi me susti..
teri hasi ki gunjose to shayad sama bhi badal jayega.
teri hasi ko dekhke to gam bhi muskura jayega..
tera wo palkonko thar tharana..
teri wo ulti pulti shakale banana...
tera wo bat karne se darna...
tera wo padhte waqt kho jana....
aur wapis bulane pe hasate rahana...
ajeeb si masumiyat hai tujhme..
ajeeb si shararat hai tujhme..
ajeeb se kuch ahsaas hai...
sab ke liye tu khaas hai...
dekhta hun tujhe to lab mere sil jate hai...
aur tere hasi se to sare hil jata hai...
tere un sawalonki aadat pad gayi hai...
mere un jawabonpe hasi aati hai..
tera sabke liye care karana achha lagta hai..
aur isi liye hamara rishta sachha lagta hai..