kuch hasi palonki ki khwahish me
dil ne itni koshishe ki thi...
kuch to thi aasaniya aur kuch mushkile thi..
hasi pal ki raah dekhu..
aur kuch main na samajh saku..
kab aayega wo pal suhana..
jisko dhundhu main khayalonme..
kab hoga jane wo fasana..
jisko chupau dil ke konome...
hausala hai tuta ja raha..
lekin wo na aa rahaa....
hausalonki hai bulandi yun hame lagata tha kabhi...
dil to samajha hi nahi kyun...
dil to mahsus karta nahi kyun..
hai hasi harwo pal jo pal bita abhi..
kuch hasi lamho ki talash me..
kho raha hai chaino sukun...
waqt ki sunale dalile..
dekhle khudka junoon...
hai agar koi hasi pal to hai wo yahi abhi..
jile khudki jindagi tu jike khushi se pal sabhi..
aajmayish kyun hai kal ki aaj ko dekhle abhi...
warna ye pal dhal gaya to na aayega wo kabhi...
fursatonme jab karega tu yaad..
tab samajhega un kathnaiyonko..
ki yunhi main to dhundha ja raha tha hasi..
thi to wo tere dil me ya kisi muskano me basi..
har wo pal de khushi tu...
apnoko aur pale pal hasi...
unki talash me biti ja rahi thi jindagi ki daud to...
shart thi bas jitne...par jeet bhi milke fasi..
aur chehrepe ye kaisi dukhbhari hasi...
tab jana ye ki hasi ye rukne wali hamesha nahi..
fir tu jile is taraha ki...
leke tera bass naam bhi..
logonko mil jaye khushi..
tab tu ho ya na ho...lekin
pal jarur honge hasi... :)
1 comment:
jindagi k kuch pal hasi hote hai...
par har pal ko hasin banana ana chahiye..
gam me to sabhi rote hai...
sukh me asu ana chahiye...
dua karte hai ham ki tum kabhi gam se na milo...
agar mile bhi kabhi to to apase mil ke gam ko bhi muskurana sikhana chahiye
Post a Comment