Monday, February 23, 2009

Intejaar me tere bitaya hua har lamhaaaa..!!!

intejaar me tere bitaya hua har lamhaaaa..
kitna yaad aata hai..
kabhi tu milti to kabhi rahta tha main tanahaa..
yadonko teri leke..
tere saath bitaye har pal jaise ki ek puri sadi jiye jaisa anubhav dilati hai..
aur tere bagaire bitayi ek puri sadi bhi ab kam lagati hai..
yaad nahi aata hai mujhe undino mila hua ek bhi shaks...
yaad hai to bass tera saath aur wo starbucks...
tere saath hota tha to tikate nahi the jamin pe pair...
isi liye aaj bhi man karta hai ki karlu thodi sair..
us bahane yaad to tu aayegi..aur chahe kuch na pade pher..
wo tera hamesha sajana sawarana..wo tera aiwehi shakle banana..
aur yaad aata hai to bass har sham tahlana aur wo Jharana...
teri sangat ka na jane kaisa pada hai jindagi pe mere asar..
but itna to pata hai..ki yaad tujhe kiye bina nahi hoga ab basar..
yaad aate hai tere saath bite huye sare lamhe aur wo halki si rim jhim..
aur dali hui teri sari aadate aur sham ko tere saaath gym..
teri hasi teri khushi meri jindagi me na jane kaunse bij boti hai..
aur ruh meri tujhe yaad karte karte na jagati na soti hai...
tujhe yaad karke najane dil me kuch kuch ajeeb sa hota hai...
aur tu kahati hai tu khara hai ki khota hai... :P
yuto teri khatir har deewar, har fasala har unchai ko khatm karunga..
lekin ye 2 dilonka fasala najne kaise khatam karunga..
yun to teri yup aur teri hmmmmmm sunake bhi dilko sukun milta hai..
aur teri hasike saath najane sirpe kaisa junoon hota hai... :)
tujhe aaj bhi meri ye kavita pasand aayegi nahi...
kyunki itni senti mare bagair to kavita bhi sujhegi nahi...he hehe... :P

No comments: